Lyrics of SHAMAS UD DOHA BADAR UD DOJA...Nusrat Fateh Ali Khan

 Lyrics of:  SHAMAS UD DOHA  BADAR UD DOJA
Singer: Nusrat Fateh Ali Khan
Genre: Qawali
 


Yaa Khuda jism mein Jab Tak ye mere jaan rahe
Tujh pe sadqe  tere meh bub pe qurban rahe
Kuch rahe yaa na rahe, par ye du'aa hai ke “Ameen”
Nizaa ke vaqt salaamat meraa iimaan rahe

Taaziim se letaa hai Khudaa naam-e-Muhammad
Kyaa naam hai ai salle-alaa naam-e-Muhammad
Allah kare usko haraam aatish-e-dozaKh
Jis shakhs ke dil pe likhaa ho naam-e-Muhammad

Jis dil meN Muhammad kii muhabbat nahiiN hotii
Us par kabhii Allah kii rahmat nahiiN hotii
Meraa ye aqiidaa hai agar zikr-e-Khudaa meN
Ye naam na shaamil ho ibaadat nahiiN hotii

Rabb ne farmaayaa merii qudrat kii hadd ko'ii nahiiN
Aur mere mehbuub kii rahmat kii hadd ko'ii nahiiN
Jab malak samjhe nahiiN to aadmii samjhegaa kyaa
Amina ke laal kii azmat kii hadd ko'ii nahiiN


Khudaa kaa nuur tujh meN huu-ba-huu hai
Khudaa pinhaaN magar tuu ruu-ba-ruu hai
Terii azmat kaa andaazaa ho kis ko
Khudaa hai aur Khudaa ke baad tuu hai

Shams-ud-duhaa Badr-ud-dujaa terii barii tauqiir hai
suurat terii shaah-e-umam, Allah kii tasviir hai

aisi surat teri kamli vale

Allah ne paas bulaa hii liyaa
bin dekhe Khudaa bhii rah na sakaa


Tumhaaraa saanii risaalat-mu'aab ho na sakaa
Tumhaaraa ko'ii kahiin bhii javaab ho na sakaa
Rasuul aur bhii aaye jahaan mein lekin
ko'ii bhii saahib-e-ummul kitaab ho na sakaa

Meraaj mein Jibriil se kahne lage shah-e-umam
Tuune to dekhe hain hasiin, batlaao to kaise hain ham
Ruuh-ul-Khudaa kahne lagaaa, ai naazniin haq kii qasam

Mere sohne kamlii vaalaRyaa, teraa aashiq kul zamaanaa ve
Tere husn kii kyaa taariif karaan, rabb aap teraa diivaanaa ve

Royaa shab-e-hijraanme  bahut ashq bahaayaa
Itne meN musavvir ko zaraa rahm jo aayaa
Naqshe ka'ii tasviiron ke saamne vo laayaa
Bola, ke ye Yusuf hain, ye Isaa hain, ye musaa
Maine kahaa inmen se kisii par nahiin shaidaa
Jab saamne laayaa vo shabiih-e-shah-e-vaalaa
Be-saaKhtaa us vaqt zubaan se merii niklaa

Duniyaa se kyaa, roz-e-jazaa unkaa hai mujhko aasraa
Main huun Ghulaam-e-mustafaa kaisii merii taqdiir hai
Vallail ho yaa kah-kashaan, zulf-e-nabii par hai fidaa
Ismein bandhe hain do-jahaan, kitnii hasiin zanjiir hai

Dushman bhii kahte hain yahii, kyaa baat hai sarkaar kii
Na aankh mein qahr-o-Ghazab, na haath mein shamshiir hai

No comments: