Panchhi Nadiya Pawan Ke Jhonke lyrics - Alka Yagnik, Sonu Nigam | Refugee [2000]

"Panchhi Nadiya Pawan Ke Jhonke lyrics"

Song Title: Panchhi Nadiya Pawan Ke Jhonke lyrics
Movie: Refugee [2000]
Singers: Alka Yagnik, Sonu Nigam
Lyrics: Javed Akhtar
Music Director: Anu Malik

Very nice song from the 2000 movie Refugee .This film was the first film of the duo Kareena Kapoor and Abhishek Bachchan. Alka Ji and Sonu Nigam sung it beautifully.

[Upar Wale Ne Apne Mohabbat Ke Sadke Me
Hum Sab Ke Liye Ye Dharti Banaayi Thi
Par Mohabbat Ke Dushmano Ne
Isapar Lakeere Khinchkar Sarhad-e Bana Di
Main Jaanta Hoon
Wo Log Tumhe Iss Paar Nahi Aane Denge
Magar Yeh Pawan Jo Tumhare Yahan Se Ho Kar Aayi Hai
Tumhe Chhu-kar Aayi Hogi
Main Ise Saans Banaakar Apne Sine Mein Bhar Lunga
Yeh Nadiya Jis Par Jhuk Kar Tum Paani Kiya Karte Ho
Main Iske Paani Se Apne Pyase Hontho Ko Bhigo'n Lungi
Samjhungi Tumhare Honthon Ko Chhu Liya]


Panchhi Nadiya Pawan Ke Jhonke
Koi Sarhad Na Inhe Roke - (2)
Sarhad Insano Ke Liye Hain
Socho Tumne, Aur maine,  Kya Paya , Insan Hoke
Panchhi nadiya pawan ke jhonke
Koi Sarhad Na Inhe Roke
Sarhad Insano Ke Liye Hain
Socho Tumne, Aur maine,  Kya Paya , Insan Hoke


Jo Hum Dono Panchchi Hote
Tairte Hum Iss Neel Gagan Mein Pankh Pasare
Saari Dharti Apni Hoti
Apne Hote Saare Nazaare
Khuli Fizaoo Mein Udte .....x2
Apne Dilo Mein Hum Saara Pyar Samaake
Panchhi nadiya pawan ke jhonke
Koi Sarhad Na Inhe Roke
Sarhad Insano Ke Liye Hain
Socho Tumne, Aur maine,  Kya Paya , Insan Hoke


Jo Main Ho Ti Nadiya Aur Tum Pawan Ke Jhonke To Kya Hota...........x2
Pawan Ke Jhonke Nadi Ke Tan Ko Jab Chhute Hain ...............x2
Lehre Hi Lehare Banti Hain
Hum Dono Jo Milte To Kuchh Aisa Hota
Sab Kehte Ye Lehar Lehar Jaha Bhi Jaaye Inko Na Koi Toke
Panchhi Nadiya Pawan Ke Jhonke
Koi Sarhad Na Inhe Roke
Sarhad Insano Ke Liye Hain
Socho Tumne, Aur maine,  Kya Paya , Insan Hoke
Panchhi Nadiya Pawan Ke Jhonke
Koi Sarhad Na Inhe Roke

No comments: