"Aashiqui 2 : All song lyrics "
Tum Hi Ho
Hum tere bin ab reh nahi sakte
Tere bina kya wajood mera (2)
Tujhse juda gar ho jaayenge
Toh khud se hi ho jaayenge judaa
Kyunki tum hi ho
Ab tum hi ho
Zindagi ab tum hi ho
Chain bhi, mera dard bhi
Meri aashiqui ab tum hi ho
Tera mera rishta hai kaisa
Ik pal door gawara nahi
Tere liye har roz hai jeete
Tujh ko diya mera waqt sabhi
Koi lamha mera na ho tere bina
Har saans pe naam tera
Kyunki tum hi ho
Ab tum hi ho
Zindagi ab tum hi ho
Chain bhi, mera dard bhi
Meri aashiqui ab tum hi ho
Tumhi ho... Tumhi ho...
Tere liye hi jiya main
Khud ko jo yun de diya hai
Teri wafa ne mujhko sambhala
Saare ghamon ko dil se nikala
Tere saath mera hai naseeb juda
Tujhe paake adhoora naa raha hmm..
Kyunki tum hi ho...
Ab tum hi ho........
Zindagi ab tum hi ho..
Chain bhi, mera dard bhi
Meri aashiqui ab tum hi ho (2)
Sun Raha Hai
Song: Sun Raha Hai
Singer: Ankit Tiwari
Music: Ankit Tiwari
Lyrics: Sandeep Nath
Cast: Aditya Roy Kapoor, Shraddha Kapoor
Apne karam ki kar adaayein
Yaara, Yaaraa... yaara!
Mujhko iraade de
Kasamein de, waade de
Meri duaaon ke ishaaron ko sahaare de
Dil ko thikaane de
Naye bahaane de
Khaabon ki baarishon ko
Mausam ke paimane de
Apne karam ki kar adaayein
Kar de idhar bhi tu nigaahein
Sun raha hai naa tu
Ro raha hun main
Sun raha hai naa tu
Kyun ro raha hun main (2)
Manzilein ruswa hain
Khoya hai raasta
Aaye le jaaye
Itni si iltejaa
Ye meri zamanat hai
Tu meri amaanat hai haan...
Apne karam ki kar adayein
Kar de idhar bhi tu nigaahein
Sun raha hai naa tu
Ro raha hoon main
Sun raha hai naa tu
Kyun ro raha hun main
Waqt bhi thehara hai
Kaise kyun ye huaa
Kaash tu aise aaye
Jaise koi duaa
Tu rooh ki raahat hai
Tu meri ibaadat hai
Apne karam ki kar adaayein
Kar de idhar bhi tu nigaahein
Sun raha hai naa tu
Ro raha hoon main
Sun raha hai naa tu
Kyun ro raha hun main (2)
Yaaraa....
Bhula Dena
Singer: Mustafa ZahidMusic: Jeet Gangulli
Lyrics: Sanjay Masoomm
Cast: Aditya Roy Kapoor, Shraddha Kapoor
Bhula dena mujhe
Hai alvida tujhe
Tujhe jeena hai mere bina
Safar yeh tera, yeh raasta tera
Tujhe jeena hai.. mere bina
Ho teri saari shoharatein
Hai yeh duaa..
Tujhi pe saari rehamatein
Hai yeh duaa..
Tujhe jeena hai mere bina
Bhula dena mujhe
Hai alvida tujhe
Tujhe jeena hai mere bina
Tu hi hai kinaara tera
Tu hi to sahaara tera
Tu hi hai taraana kal ka
Tu hi to fasaana kal ka
Khud pe yaqeen tu karna
Ban.na tu apna khuda... (2)
Khizaan ki shaam hoon main
Tu hai nayi subah
Tujhe jeena hai mere bina
Tujhe jeena hai mere bina
Khilengi jahaan.. bahaarein sabhi
Mujhe tu wahaan.. paayega
Rahengi jahaan.. humaari wafa
Mujhe tu wahaan.. paayega
Milunga main iss tarah, waada raha
Rahunga sang main sada, waada raha
Tujhe jeena hai mere bina!
Bhula dena mujhe
Hai alvida tujhe
Tujhe jeena hai mere bina
Tujhe jeena hai, haan mere bina!
Chahun Main Ya Naa
Song: Chahun Main Ya NaFilm: Aashiqui 2
Singer: Palak Muchhal, Arijit Singh
Music: Jeet Gangulli
Lyrics: Irshad Kamil
Cast: Aditya Roy Kapoor, Shraddha Kapoor
Tu hi ye mujhko bata de
Chahun main ya naa
Apne tu dil ka pata de
Chahun main ya naa (2)
Itna bata doon tujhko
Chaahat pe apni mujhko
Yun tto nahi ikhtiyaar
Phir bhi yeh socha dil ne
Ab jo laga hoon milne
Poochhu tujhe ek baar
Tu hi ye mujhko bata de
Chahun main ya naa
Apne tu dil ka pata de
Chahun main ya naa
Aisi kabhi pehle hui naa thi khwaahishein
O.. kisi se bhi milne ki
Naa ki thi koshishein
Uljhan meri suljha de
Chaahun main ya naa
Aankhon aankhon mein jataa de
Chaahun main ya naa
Mere chhote chhote khwaab hain
Khwabon mein geet hain
Geeton mein zindagi hai
Chaahat hai, preet hai
Abhi main na dekhoon khwaab woo
Jin mein na tu mile
Le khole honth maine
Ab tak the jo sile
Mujhko na jitna mujh pe
Utna iss dil ko tujh pe
Hone laga aitbaar
Tanha lamhon mein apne
Bunti hoon tere sapne
Tujhse hua mujhko pyaar o o..
Poochungi tujhko kabhi naa
Chaahun main ya naa
Tere khaabon mein ab jeena
Chaahun main kyun naa!
Tu hi yeh mujhko bata de
Chahun main ya naa
Apne tu dil ka pata de
Chahun main ya naa
2 comments:
Tum hi ho song is vey nice from ashiqui 2 movie
Hanuman Chalisa Lyrics in Hindi
Post a Comment