Kab Se Hoon Kya Bataaoon Jahaan-E-Kharab Mein Lyrics | Mirza Ghalib Ghazal

"Kab Se Hoon Kya Bataaoon Lyrics"

 Genre : Ghazal
lyrics :Mirza Ghalib

Qaasid [Messenger] Ke Aate-aate Khat Ek Aur Likh Rakhoon
Main Janta Hoon Jo Woh Likhengi Jawab Mein

Kab Se Hoon / Kya Bataaoon / Jahaan-E-Kharab Mei'n
Kab Se Hoon / Kya Bataaoon / Jahaan-E-Kharab Mei'n
Shab Haaye / Hijr [Separation] Ko Bhi Rakhoon / Gar Hisaab Mei'n

Mujh Tak Kab Unki Bazm [mehfil]  Mein / Aata Tha Daur-E-Jaam
Mujh Tak Kab Unki Bazm Mein / Aata Tha Daur-E-Jaam
SaaQi Ne /Kuch Mila Na Diya Ho /Sharab Mein
[when did the going-round of the cup, in her/his gathering, come as far as to me?
 may the Cupbearer not have mixed something into the wine
]


Taa Phir [So that] Na Intezaar Mein/ Neend Aaye Umra Bhar
Taa Phir Na Intezaar Mein/ Neend Aaye Umra Bhar
Aane Ka/ Ahad [Promise] Kar Gaye/ Aaye Jo Khwaab Mein

Ghalib Chuti Sharab / Par Ab Bhi  Kabhi Kabhi
Peeta Hoon Roz-E-Abr [Cloudy Day]  O  Shab -E-Maahtaab[Moon lit night] Mein!!!

Kab Se Hoon, Kya Bataaoon Jahaan-E-Kharab Mein
Kab Se Hoon, Kya Bataaoon Jahaan-E-Kharab Mein
Shab Haaye Hijr Ko Bhi Rakhoon Gar Hisaab Mein

No comments: