Lyrics of the song : Taare zameen par


Song Name: Taare Zameen Par 

Singer : Shankar Mahadevan 

 

Dekho inhe yeh hain, osson ki boondein
Patton ki god mein ye, asmaan se koode
Angdayi le phir, karvat badal kar
Naazuk se moti, hass dein fisal kar
Kho na jaayein yeh…6.
Taare zameen par….

Yeh toh hain sardi mein, dhoop ki kirne
Utre jo aangan ko, sunehra sa karne
Mann ke andheron ko, roshan sa karde
Thithurti hatheli ki rangat badal dein
Khoo na jaayein yeh (6)
Taare zameen par

Jaise aankho ki dibbiya mein nindiya
Har nindiya mein meetha sa sapna
Aur sapne me mil jaaye farishta sa koii….

Jaise rangon bhari pichkaari
Jaise titliyaan phoolon ki kyari
Jaise bina matlab ka pyara rishta ho koi

Yeh toh aasha………., ki lehar hai…………..
Yeh toh um meed  ki seher hai
Khushiyon ki nehar hai
Kho na jaayein yeh…6
Taare zameen par

Dekho raaton ki seene pe yeh to
Jhilmil kisi law se ugge hain
Yeh to ambiya ke khushboo hain
Baagon se beh chale……………….


Jaise kaanch me choodi ke tukde
Jaise khile khile phoolon ke mukhde
Jaise bansi koi bajaaye pedoon ke tale

Yeh toh jhonke, pawan ke
Hai yeh ghunghro jeevan ke
Yeh toh sur hai chaman ke
Kho na jaayein yeh…6
Taare zameen par

Mauhalle ki raunak, galliyaan hai jaise
Khilne ki zid  par, kaliyaan hai jaise
Muththi mein mausam ki, jaise hawayen
Yeh hai buzurgon ki, dil ki duaayen
Kho na jaayein yeh…6
Taare zameen par…2

Kabhi baatien jaise daadi naani
Kabhi chalke jaise mum mum paani
Kabhi ban jaayein, bhole sawaalon ki jhadee


kho na jaayein yeh


Sannaate mein hansi ke jaise
Soone hothon pe khushi ke jaise
Ye to noor hai barse agar teri kismat ho badhee


kho na jaayein yeh


Jaise jheel mein lehraye chanda
Jaise bheed mein apne ka ban-na


kho na jaayein yeh


Jaise mann mauji nadiyaa jhag udaye kuch kahe………


kho na jaayein yeh


Jaise baithe baithe meethi si jhapki

Jaise pyaar ki dheemi si thapki
Jaise kanoo me sargam hardam bajti hi rahe
ho….
Jaise barkha udati hai nindiya…


kho na jaayein ………………………



No comments: