Yaar Ko Hum Ne Ja Ba Ja Dekha
Lyrics:
Written by: Hazrat Shah Niaz
-
Yaar ko humne ja ba ja dekha
Yaar ko humne ja ba ja dekhaKahin zahir kahin chuppa dekha
Yaar ko humne ja ba ja dekha
Kahin mumkin hua kahin wajib
Kahin mumkin hua kahin wajib
Kahin faani kahin baqa dekha
Kahin faani kahin baqa dekha
Yaar ko humne ja ba ja dekha
Kahin zahir kahin chuppa dekha
Kahin woh baadshah hai takht nasheen
Kahin woh baadshah hai takht nasheen
Kahin kaasa liye gada dekha
Khin kaasa liye gada dekha
Yaar ko humne ja ba ja dekha
Kahin zahir kahin chuppa dekha
Yaar ko humne ja ba ja dekha
Kahin woh dar libas-e-mashooqa
Kahin woh dar libas-e-mashooqa
Bar sar-e-naaz aur ada dekha
Bar sar-e-naaz aur ada dekha
Kahin zahir kahin chuppa dekha
Yaar ko humne ja ba ja dekha
Yaar ko humne ja ba ja dekha
Kahin aashiq niaz ki soorat
Kahin aashiq niaz ki soorat
Kahin aashiq niaz ki soorat
Seena-giriya-o-dil-jala dekha
Seena-giriya-o-dil-jala dekha
Yaar ko humne ja ba ja dekha
Kahin zahir kahin chuppa dekha
Yaar ko humne ja ba ja dekha
Yaar ko humne ja ba ja dekha
Kahin zahir kahin chuppa dekha
Yaar ko humne ja ba ja dekha
Zahid Ne Mera Hasil-e-Eman Nahin Dekha
Lyrics:
Written by: Asghar Gondvi
-
Zahid ne mera hasil-e-eman nahin dekhaZahid ne mera hasil-e-eman nahin dekha
Rukh par teri zulfon ko pareshan nahin dekha

Har haal mein bas pesh-e-nazar hai wohi soorat

Main ne kabhi roo-e-shab-e-hijran nahin dekha

Rukh par teri zulfon ko pareshaan nahin dekha
Zahid ne mera hasil-e-eman nahin dekha
Aye thay sabhi tarhaa ke jalway mere aage

Main ne magar ae deeda-e-hairaan nahin dekha
Main ne magar ae deeda-e-hairaan nahin dekha
Zahid ne mera hasil-e-eman nahin dekha
Rukh par teri zulfon ko pareshan nahin dekha
Kya kya hua hungaam-e-junoon yeh nahi maloom
Kya kya hua hungaam-e-junooN yeh nahi maloom
Kuch hosh jo aya to garebaan nahin dekha
Kuch hosh jo aya to garebaan nahinndekha
Zahid ne mera hasil-e-eman nahin dekha
Rukh par teri zulfon ko pareshaan nahin dekha
Kya kya hua hungaam-e-junoon yeh nahi maloom
Kya kya hua hungaam-e-junoon yeh nahi maloom
Kuch hosh jo aya to garebaan nahin dekha
Kuch hosh jo aya to garebaan nahin dekha
Ishq Mein Tere Koh-e-Ghum
-Lyrics: Written by: Hazrat Shah Niaz
-
Aaj jan-e-ashiqan strast hijrat me kushat
Tsnadeeda dar jehan juz kushtagan-e-qarbala
Ishq main tere koh-e-ghum, Ser pe liya jo ho so ho

Aish-o-Nishaat-e-zindagee, Chhod diya jo ho so ho

Ishq main tere koh-e-ghum…
Aql ke madarasey se uth, Ishq ke maikadey mein aa

Jaam-e-fana-o-bekhudi, Ab to piya jo ho so ho
Jaam-e-fana-o-bekhudi, Ab to piya jo ho so ho
Ishq main tere koh-e-ghum…
Hijr kee jo museebatein, Arz keen us ke roo-ba-roo

Naaz-o-adaa se muskura, Kehne laga jo ho so ho

Hasti ke is saraab main, Raat kee raat bas rahe

Subh-e-adam hua namoo, Paaon utha jo ho so ho

Jaam-e-fana-o-bekhudi, ab to piya jo ho so ho

Roshan Jamal-e-Yaar Say Hay
-Lyrics:
Written by: Maulana Hasrat Mohani
-
Roshan jamal-e-yaar se hai anjuman tamam
Dehka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam

Hairat ghuroor-e-husn se, Shoukhi se izterab

Dil ne bhi tere seekh liye hai chalan tamam
Dil ne bhi tere seekh liye hai chalan tamam
Roshan jamal-e-yaar se hai anjuman tamam
Dehka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam
Allah re jism-e-yaar ki khoobi key khud ba khud

Rangeenion mein Doob gaya pairahan tamam
Rangeenion mein Doob gaya pairahan tamam
Roshan jamal-e-yaar se hai anjuman tamam
Dehka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam
Roshan jamal-e-yaar se hai anjuman tamam
Dekho to chashm-e-yaar ki jadoo nigahian

Be-hosh ik nazar mein hui anjuman tamam
Be-hosh ik nazar mein hui anjuman tamam
Roshan jamal-e-yaar se hai anjuman tamam
Dehka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam
Sheereni-e-naseem hai soz-o-gudaz-e-meer

Hasrat tere sukhan pe hai lutf-e-sukhan tamam
Hasrat tere sukhan pe hai lutf-e-sukhan tamam
Roshan jamal-e-yaar se hai anjuman tamam
Dehka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam
Je Chahe to Sheesha Ban Ja
--
Lyrics:
Written by: Hazrat Zaheen Shahtaji
-
Ji chahe to sheesha ban ja, Ji chahe paimana ban ja
Sheesha paimana kya ban’na, Mai ban ja maikhana ban ja

Mai bar kar, Maikhana ban kar, Masti ka afsana ban ja
Masti ka afsana bankar, Hasti se begaana ban ja
Hasti se begaana hona, Masti ka afsana ban’na
Is hone se, Is ban’ne se, Acha hai deewana ban ja

Deewana ban jane se bhi, Deewana hona achha hai

Deewana hone se achha, Khak-e-dar-e-janaana ban ja
Khak-e-dar-e-janana kya hai? Ahl-e-dil ki aankh ka surma

Shama ke dil ki thandak ban ja, Noor-e-dil-e-parwana ban ja
Seekh ‘Zaheen’ ke dil se jalna, Kahe ko har sham’ma par jalna

Apni aag mein khud jal jaye, Tu aisa parwana ban ja

Seekh ‘Zaheen’ ke dil se jalna,
Seekh ‘Zaheen’ ke dil se jalna
Tu aisa parwana ban ja!
Mujhe Bekhudi Ye Tu Nay
--
Lyrics:
Written by: Hazrat Shah Niaz
-
Hairat maraaz-e-har do jahan, bhi niaz kard
Ein khwab taar-e-daulat-e-bedar-e-mi kunad
Khuli jab ke chashm-e-dil-e-hazeen
Khuli jab ke chashm-e-dil-e-hazeen
To woh nam raha na tarii rahee
Hui hairat aisee kuchh aankh par
Hui hairat aisee kuchh aankh par
be-asar ki be-asarii rahee
padi gosh-e-jaan me ajab nida
padi gosh-e-jaan me ajab nida
ke jigar na be-jigaree rahee
Khabar-e-tahiyyur-e-ishq se, Na junoon raha na pari rahee
Na to tuu raha na to main raha, Jo rahee so be-khabarii rahee
Mujhe bekhudi yeh tu ne, Bhali chaashni chakhaee
Kisi aarzoo ki dil mein, Nahin ab rahi samaaee
Na hazar hai nay khatar hai, na raja hai nay dua hai
Na khayal-e-bandagi hai, na tamanna-e-khudaaee
Mujhe bekhudi yeh tu ne, bhali chaashni chakhaee
Na maqaam-e-guftuguu hai, Na mahal-e-justujuu hai
Na wahaan havaas puhunchain, Na khirad ko hai rasaaee
Mujhe bekhudi yeh tu ne…

Na makeen hai nay makaan hai, na zameen hai nay zamaan hai
Dil-e-benawa ne merey, wahan chhaavne hai chhaaee
Mujhe bekhudi yeh tu ne…
Dil-e-benawa ne merey, wahan chhaavne hai chhaaee
Na visaal hai na hijraan, na suroor hai na gham hai
Jise kahiye khwaab-e-ghaflat, So woh neend mujh ko aaee
Mujhe bekhudi yeh tu ne…
Jise kahiye khwaab-e-ghaflat, So woh neend mujh ko aaee
Mujhe bekhudi yeh tu ne, Bhali chaashni chakhaee
Jalwa Baqadr-e-Zarf-e-Nazar
--
Lyrics by: Jigar Moradbadi
-
Jalwa baqadr-e-zarf-e-nazar dekhte rahe
Kya dekhte hum unko magar dekhte rahe
Apna hi aks pesh-e-nazar dekhte rahe
Aaina ru-ba-ru tha jidhar dekhte rahe
Unki hareem-e-naaz kahaan aur hum kahaan
Naqsh-o-nigaar-e-parda-e-dar dekhte rahe
Aisi bhi kuch firaaq ki ratein guzar gayin
Jaise unhi ko pesh-e-nazar dekhte rahe
Har lehza shaan-e-husn badalti rahi Jigar
Har aan hum jahaan-e-digar dekhte rahe
No comments:
Post a Comment