O Hasina Julfon Vaalee Jaanejahan........ Lyrics from Teesri Manzil

Song: O Hasina Julfon Vaalee Jaanejahan
Movie: Teesri Manzil
Singer(s): Mohammad Rafi, Asha Bhosle
Music By: R D Burman
Lyricist(s): Majrooh Sultanpuri

teesri manzil                                                                                             
 (O hasina julfon vaalee jaanejahan
 Dhundhatee hain kaafir aankhe kiska nishaan) - (2)
 Mehfil mehfil ae shama phirtee ho kaha
 
 Woh anjaana dhundhatee hu, woh dewaana dhundhatee hu
 Jalaakar jo chhip gaya hai, woh parwaana dhundhatee hu
 
 Garm hai, tej hai, yeh nigaahe meree
 Kaam aa jaayengee sard aahen meree
 Tum kisee raah me, toh miloge kahee
 Arey ishk hu, main kahee theharta hee nahee
 Mai bhee hu galiyo kee parchhaayee, kabhee yaha kabhee vaha
 Shaam hee se kuchh ho jaata hai mera bhee jaadu jawa
 O hasina julfon vaalee...
 
 Chhup rahe, hain yeh kya dhang hai aapka
 Aaj toh kuchh naya rang hai aapka
 Hai aaj kee raat mai kya se kya ho gayee
 Aha aap kee saadgee toh ada ho gayee
 Mai bhee hu galiyo kee parchhaayee, kabhee yaha kabhee vaha
 Shaam hee se kuchh ho jaata hai mera bhee jaadu jawa
 O hasina julfon vaalee...
 
 Thehariye toh sahee, kahiye kya naam hai
 Meree badnaamiyo kaa vafa naam hai
 Oho katl kar ke chale, yeh vafa khub hai
 Hai najnina teree yeh ada khub hai
 Mai bhee hu galiyo kee parchhaayee, kabhee yaha kabhee vaha
 Shaam hee se kuchh ho jaata hai mera bhee jaadu jawa
 O hasina julfon vaalee...
 
 
 

No comments: