Mujhe bekhudi yeh tu ne, bhali chaasheni chakhai...lyrics of abida Parveen song


Abida Parveen - Mujhe Bekhudi Yeh Tun Lyrics


 
Mujhe bekhudi yeh tu ne, bhali chaasheni chakhai
Kisi aarzo ki dil mein, nahin ab rahi samai
Mujhe bekhudi yeh tu ne

Na hazar hai nay khatar hai, na reja hai nay dua hai
Na khayal-e-bandagi hai, na tamanna-e-khudai
Mujhe bekhudi yeh tu ne

Mujhe bekhudi yeh tu ne, bhali chaasheni chakhai
Mujhe bekhudi yeh tu ne

Na maqaam-e-guftugu hai, na mehal-e-justuju hai
Na wahan hawaas puhnchein, na khirad (?) ko hai risai
Mujhe bekhudi yeh tu ne

Na makeen hai nay makaan hai, na zameen hai nay zabaan hai
Dil-e-benawa ne meray, wahan chawani hai chayee
Mujhe bekhudi yeh tu ne

Na visaal hai na hijraan, na suroor hai na gham hai
Jise kaheyay khwab-e-ghaflat, so woh neend mujh ko aayee
Mujhe bekhudi yeh tu ne

Mujhe bekhudi yeh tu ne, bhali chaasheni chakhai
Mujhe bekhudi yeh tu ne

No comments: