Dil e Nadan Tujhe Lyrics | Suraiya Jamaal Sheikh, Talat Mahmood | Mirza Ghalib [1954]

Dil e Nadan Tujhe  Lyrics

Movie: Mirza Ghalib [1954]
Singer[s]: Suraiya Jamaal Sheikh, Talat Mahmood
Lyrics: Mirza Ghalib
Music By : Ghulam Mohammad
Director: Sohrab Modi
Music Label: Saregama
Starring: Bharat Bhushan, Suraiya, Nigar Sultana




Dil   e  nadaan tujhe hua kya hai
Aakhir iss dard ki dawaa kya hai

Hum hai mushtaaq aur wo be-zaar
Ya ilaahi yeh maazra kya hai

Main bhi muh mein

Main bhi muh mein zuban rakhta hoon
Kash puchho ki mudda kya hai

Jab ki tujh bin nahin koyi maujood
Phir ye hungama aye khuda kya hai

Ye pari chehra log kaise hain
Gamaza -o-ussva-o-ada kya hai

Shikane -zulfein-ambari kya hai
Nigahein-chashme-surma sa kya hai

Sabz-o-gul kahan se aaye hain
Abra kya cheez hai  hawa kya hai

Hum ko unse wafa ki hai ummeed
Jo nahin jaante wafa kya hai

Haan bhala kar tera bhala hoga
Aur darvesh ki sada kya hai

Jaan tum par nisar karta hoon
Main nahin jaan ta dua kya hai

Maine mana ki kuch nahin Ghalib
Muft haath aaye to bura kya hai

No comments: