Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad lyrics
Movie: Billa No. 786 [2000]
Singers: Sabri Brothers
Lyrics by: Vinay Bihari
Music by: Luv - Kush
Director : Imran Khalid
Music Label: Saregama
Genre: Qawali
Very popular Qawali of Sabri Brothers .
Shahe madina suno
Iltazaa khuda ke liye
Karam ho mujhpe Habib-e - khuda /Khuda ke liye
Huzur uh chaye / ummeed kab to khil jaaye
Tumhare dar ka deta hoon/ to bheek mil jaaye
Bhar Do Jholi
Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad
Laut Kar Main Na Jaaoonga Khaali
Tumhaare Aastane Se Zamaana Kya Nahin Paata...x2
Koi Bhi Dar Se Khaali Maangne Waala Nahin Jaata
Bhar Do Jholi Meri / Sarkaar-e-Madeena
Bhar Do Jholi Meri / Taajdaar-e-Madeena
Tum Zamaane Ke Mukhtaar Ho Ya Nabi
Bekason Ke Madadgaar Ho Ya Nabi
Sab Ki Sunte Ho Apne Ho Ya Ghair Ho
Tum Ghareebon Ke Gham-khwaar Ho Nabi
Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeena
Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeena
Hum Hain Ranj-o-museebat Ke Maare Hue
Saqt Mushkil Mein Hain Gham Se Haare Hue
Ya Nabi kuchh Khudaara Humein Bheek Do
Dar Pe Aaye Hain jholi Pasaare Hue
Bhar Do Jholi Meri Sarkaar-e-Madeena
Bhar Do Jholi Meri Taajdaar-e-Madeena
BHAR DO JHOLI
Hai Mukhaalif Zamaana Kidhar Jaaein Hum
Haalat-e-bekasi Kisko Dikhlaaye Hum
Hum Tumhaare Bhikaari Hain Ya Mustafa
Kiske Aage Bhalaa Haath Phailaayein Hum
Bhar Do Jholi Meri Sarkaar-e-Madeena
Bhar Do Jholi Meri Taajdaar-e-Madeena
Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad
Laut Kar Main Na Jaaoonga Khaali
Kuchh nawaason ka sadqa ataa ho
Dar pe aaya hoon bankar sawaali
Haq Se Paayi Wo Shaan-e-kareemi
Marhaba Dono Aalam Ke Waali
Uski Qismat Ka Chamka Sitaara
Jis Pe Nazr-e-karam Tum Ne Daali
Zindagi Bakhsh Ki Bandagi Ko
Aabroo Deen-e-haq Ki Bachaali
Wo Muhammad Ka Pyara Nawasa aa
Jisne Sajde Mein Gardan Kataali
Jo Ibn-e-murtaza Ne Kiya Kaam Khoob Hai
Qurbaani-e-Hussain Ka Anjaam Khoob Hai
Khurbaan Ho Ke Fatema Zehra Ke Chain Ne
Deen-e-Khuda Ki Shaan Badhaayi Hussain Ne
Bakhshi Hai Jisne Mazhab-e-Islam Ko Hayaat
Jitni Azeem Hazrat-e-Shabbir Ki Hai Zaat
Maidaan-e-Karbala Mein Shah-e-khush Khisaal Ne
O Sajde Mein Sar Kataa Ke Mohammad Ke Laal Ne
Zindagi Bakhsh Di Bandagi Ko
Aabroo Deen-e-haq Ki Bachaali
Wo Muhammad Ka Pyara Nawasa
Jisne Sajde Mein Gardan Kataali
Aaa.....alll..aah...
Hashr Mein Unko Dekhenge Jis Dam
Ummati Ye Kahengey Khushi Se
Aa Rahey Hain Wo Dekho Mohammad
Jinke Kaandhe Pe Kambli Hai Kaali
Mehshar Ke Roz Pesh-e-Khuda Hongey Jis Ghadi
Hogi Gunahgaaron Mein Kis Darjaa Bekali
Aate Hue Nabi Ko Jo Dekhenge Ummati
Ek Doosre Se Sab Ye Kahenge Khushi Khushi
Aa Rahey Hain Wo Dekho Mohammad
Jinke Kaandhe Pe Kambli Hai Kaali
Sar-e-mehshar /Gunahgaaron Se /Purzish Jis Ghadi Hogi
Yaqinan /Har Bashar Ko/ Apni Bakhshish Ki Parhi Hogi
Sabhi Ko Aas Us Din Kambli Waale Se Lagi Hogi
Ke Aise Mein/ Mohammad Ki/ Sawaari Aa Rahi Hogi
Pukaarega Zamaana /Uss Ghadi Dukh Dard Ke Maaron
Na Ghabraao Gunahgaaron Na Ghabraao Gunahgaaron
Aa Rahey Hain Wo Dekho Mohammad
Jinke Kaandhe Pe Kambli Hai Kaali
Aa Rahey Hain Wo Dekho Mohammad
Jinke Kaandhe Pe Kambli Hai Kaali
Aashiq-e-mustafa Ki Azaan Mein / Allah Allah Kitna Asar Tha
Sachaa Ye Waaqiya Hai Azaan-e-Bilaal Ka
Ek Din Rasool-e-paak Se Logon Ne Yun Kahaa
Ya Mustafa Azaan Ghalat Dete Hain Bilaal
Kahiye Huzoor Aap Ka Iss Mein Hai Kya Khayaal
Farmaaya Mustafa Ne Ye Sach Hai To Dekhiye
Waqt-e-sahar Ki Aaj Azaan Aur Koyi De
Hazrat Bilaal Ne Jo Azaan-e-sahar Na Di
Khudrat Khuda Ki Dekho Na Mutlaq Sahar Huyi
Aaye Nabi Ke Paas Kuchh As’haab-e-baasabaa
Ki Arz Mustafa Se Aye Shah-e-ambiya
Hai Kya Sabab Sahar Na Huyi Aaj Mustafa
Jibreel Laa-ye Aise Mein Paygham-e-Kibriyaa
Pehle To Mustafa Ko Adab Se Kiya Salaam
Baad As Salaam Unko Khuda Ka Diya Payaam
Yun Jibraeel Ne Kahaa Khair Ul Anaam Se
Allah Ko Hai Pyaar Tumhare Ghulam Se
Farmaa Raha Hai Aap Se Ye Rabb-e-Zuljalaal
Hogi Na Subha Denge Na Jab Tak Azaan Bilaal
Aashiq-e-mustafa Ki Azaan Mein /Allah Allah Kitna Asar Tha
Arsh Waale Bhi Sunte Thhe Jisko
Kya Azaan Thi Azaan-e-bilaali
Aaa aa aa.............
Kaash Purnam Se Aaye Nabi Mein
Jeete Ji Ho Bulaawa Kisi Din
Haal-e-gham Mustafa Ko Sunaoon
Thaam Kar Unke Rauze Ki Jaali
Aa aa.................................
Haal ............
O o o ....ooo............
Ga ma ma /ga ma ga /sa ni da
Dha ni sa ga /ma ma ga/ sa ni da
Da ni sa ga ma ga ni ni ni ni dha ma
Ga ma ma ga/ sa ni da
Dha ni sa ga ma dha ni sa /sa ni dha ma pa ga ma re ni re sa
Haal-e-gham Mustafa Ko Sunaoon
Thaam Kar Unke Rauze Ki Jaali
Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad
Laut Kar Main Na Jaaoonga Khaali
1 comment:
Very Beautiful Naat Bhar do Jholi Meri Lyrics
Post a Comment