Zikr Uss Parivash Ka Lyrics - Mirza Ghalib Ghazal

"Zikr Uss Parivash Ka Lyrics"

Mirza Ghalib
[27 December 1797 –  15 February 1869]

 
Pic courtesy: agratoday.in

Very popular and melodiuos ghazal from the Mughal Era poet. 

Aa aa aaaaa.aaaaaaaaa........................
Zikr Uss Parivash Ka, Aur Phir Bayaan Apna
Bann Gaya Raqeeb Aakhir Tha Jo Raazdaan Apna

Mai Woh kion Bahat Peete Bazm-E-Ghair Mein Ya Rab
Aaj Hi Huaa Manzoor Unn Ko Imtihan Apna aa aa
Zikr Us Pari..ee.................

Manzar Eik Bulandi Par Aur Hum Bana Sakte..... 
Arsh Se Idhar Hota Kaash Ke Makan Apna aa aa....  
Zikr Us Pari..ee.................

Day Woh Qadar Zillaat Hum Hansi Mein Talain Gaye
Baaray Aashna Nikala Unn Ka Pashbaan Apna
Zikr Us Pari..ee.................

Dard-E-Dil Likhon Kab Tak? Jaon Unn Ko Dikhla Doon
Ungliyaan Figar Apni Khaama Khoon -Chakaan Apna
Zikr Us Pari..ee.................

Ghiste Ghiste Mitt Jata Aap Ne Abas Badla
Nang-E-Sajda Se Mere Sang-E-Aastan Apna
Zikr Us Pari..ee.................

Taa Kare Na Ghamaji, Kar Liyaa Hai Dushman Ko
Dost Ki Shikayat Me Hum Ne Hum-Zubaan Apna
Zikr Us Pari..ee.................

Ham Kahan Ke Daana Thay, Kis Hunar Mein Yaktaa Thay  4
Be Sabab Hua 'Ghalib'  2 Dushman Aasmaan Apna 2
Zikr Us Parivash Ka, Aur Phir Bayaan Apna
Ban Gaya Raqeeb Aakhir  Tha Jo Raazdaan Apna
Zikr Us Parivash

No comments: