"Hazaron khwahishein aisi lyrics"
Mirza Ghalib Ghazal
Hazaron khwahishein aisi, ke har khwahish pe ,dum nikle
Bahot nikle, mere armaan, lekin, fir bhi kam nikle
Dare kyun mera qaatil kya rahega uski gardan par
Wo khoon jo chashm-e-tar se umra bhar yun dum-ba-dum nikle
Nikalna khuld se aadam ka sunte aayain hain lekin
Bohot be abru hokar tere kooche se hum nikle
Bharam khul jaaye zaalim tere qayamat ki daraazee ka
Agar is turra-e-pur-pech-o-kham ka pech-o-kham nikle
Magar likhwaaye koi usko khat to humse likhwaaye
Huyee subah aur ghar se kaan par rakhkar qalam nikle
Huyee iss daur mein mansoob mujhse baada aashaamee
Fir aaya wo zamaana, jo jahaan se jaam-e-jam nikle
Huee jinse tavaqqo khastagee ki daad paane kee
Wo hamse bhee ziyaada khasta-e-tegh-e-sitam nikle
Mohabbat mein nahin hai farq hi jeene aur marne kaa
Usi ko dekh kar jeete hain jis kafir pe dam nikle
Zara kar jor seene par ki teer-e-pursitam nikle
Jo wo nikle to dil nikle, jo dil nikle to dam nikle
Khuda ke waaste parda na kaa-be se uthaa zalim............x2
Kaheen aisa na ho yaan bhi wohee kaafir sanam nikle
Kahaan maikhane ka darwaza 'Ghalib' aur kahan waaiz
Par itna jaante hain kaal wo jaata tha ke hum nikle
Hazaron khwahishein aisi, ke har khwahish pe ,dam nikle

Um hmn hmn.......................

No comments:
Post a Comment