Dhoondo ge agar mulkon mulkon lyrics - Begum Abida Parveen

"Dhoondo ge agar mulko'n mulko'n lyrics  "

Begum Abida Parveen 

 

Genre: Ghazal
Poetry:  Shaad Azeemabadi
Very nice poetry by Shaad Azeemabadi and heart touching ghazal sung by Abida Parveen.

Dhoondo Ge Agar Mulko'n Mulko'n
Milne Ke Nahi Nayaab Hain Hum
Tabeer Hai Jiski Hasrat-o-Gham
Aye Humnafaso Woh Khwaab Hain Hum

Aye Dard Bata Kuch Tu Hi Pata
Ab Tak Yeh Mu-ammya Hal Na Hua
Hum Mein Hain Dil-e-Betaab Nihaan
Ya Aap Dil - e - Be-taab Hain Hum

Main Hairat-o-Hasrat Ka Maara
Khamosh Khada Hoon Saahil Par
Dariyaa - e - Mohabbat Kehta Hai
Aa Kuch Bhi Nahi Payaab Hain Hum

Lakhon Hi Musafir Chalte Hain
Manzil Pohunchte Hain Do Ikk
Aye Ahel -e- Zamana Qad'r Karo
Na'yaab Na Hon Kameyaab Hain Hum

Murghan -e- Qafas Ko Phool'on Ne
Aye Shaad Yeh Kehla Bheja Hai
Aa Jaa-o Jo Tum Ko Aa Na Ho
Aise Mein Abhi Shadab Hain Hum

No comments: