Song Name: Chadariya Jhini Re Jhini
Author: Kabir Dasa
Language: Hindi
LYRICS:
(1)
kabīrā jab
ham paidā hue
jaga hańse ham roye
aisī karanī kara calo
ham hańse jaga roye
chadariyā jhinī re jhinī
he rāma nāma rasa bhinī
(2)
aṣṭa kamalā ka carkhā banāyā
pañca tattva kī pūnī
nava dasa māsa bunana ko lāge
mūrakha mailī kinhī
(3)
jaba morī chādara bana ghara āyā
rańga reja ko dinhī
aisā rańga rańgā rańgare ne
lālo lāla kar dinhī
(4)
cādara oḍha śańka mat kariyo
yeh do dina tumko dinhī
mūrakha loga bheda nahi
jāne
din din mailī
kinhī
(5)
dhruva prahlāda sudāmā ne oḍhi
śukadeva ne nirmala kinhī
dāsa kabīra ne aisī odhī
jyoń kī tyoń dhara dinhī
No comments:
Post a Comment